naa ye zameen thi naa aasmaan thaa
naa chaand-taaron kaa hi nishaan thaa
magar ye sach hai ke un dinon bhi
teraa-meraa pyaar yoon hi jawaan thaa
naa ye zameen thi naa aasmaan thaa
naa chaand-taaron kaa hi nishaan thaa
magar ye sach hai ke un dinon bhi
teraa-meraa pyaar yoon hi jawaan thaa
naa ye zameen thi naa aasmaan thaa
chale kahaan se kahaan pe aaye
khumaar ban ke jahaan pe chhaaye
chale kahaan se kahaan pe aaye
khumaar ban ke jahaan pe chhaaye
nibhaayi rasm-e-wafaa kuchh aise
muhabbaton ke chaman khilaaye
na kaise aasaan hoti manzil
har ek armaan naujawaan thaa
naa ye zameen thi naa aasmaan thaa
naa chaand-taaron kaa hi nishaan thaa
magar ye sach hai ke un dinon bhi
teraa-meraa pyaar yoon hi jawaan thaa
naa ye zameen thi naa aasmaan thaa
hamin ne taaron ko roshni di
hamin ne phoolon ko taazgi di
hamin ne taaron ko roshni di
hamin ne phoolon ko taazgi di
jidhar se guzre jahaan bhi thahre
har ek zarre ko zindagi di
kuchh ismen dil ki tadap thi shaamil
Khudaa bhi kuchh hampe meharbaan thaa
naa ye zameen thi naa aasmaan thaa
naa chaand-taaron kaa hi nishaan thaa
magar ye sach hai ke un dinon bhi
teraa-meraa pyaar yoon hi jawaan thaa
naa ye zameen thi naa aasmaan thaa
nazar mein phoolon bhari hain raahen
khushi se rangeen hain nigaahen
nazar mein phoolon bhari hain raahen
khushi se rangeen hain nigaahen
suno to kuchh kah rahi hai hamse
bahaar phailaa ke apni baanhen
idhar se guzroge ek din tum
naseeb aisaa meraa kahaan thaa
naa ye zameen thi naa aasmaan thaa
naa chaand-taaron kaa hi nishaan thaa
magar ye sach hai ke un dinon bhi
teraa-meraa pyaar yoon hi jawaan thaa
naa ye zameen thi naa aasmaan thaa
aaa ho ho o o o
aaa ho ho o o
aaa
Sunday, May 31, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment