Sunday, May 31, 2009

Jaayen To Jaayen Kahaan!

Jaayen To Jaayen Kahaan, Jaayen To Jaayen Kaahan,
Samjhega, Kaun Yahaan, Dard Bhare Dil Ki Zubaan,
Jaayen To Jaayen Kahaan…
Maayuusiyon Ka, Majma Hai Jee Mein,
Kya Rah Gaya Hai, Is Zindagi Mein,
Ruuh Mein Gham, Dil Mein Dhuaan,
Jaayen To Jaayen Kahaan
Unka Bhi Gham Hai, Apna Bhi Gham Hai,
Ab Dil Ke Bachne Kii, Ummiid Kam Hai,
Ek Kashti, Sau Toofan,
Jaayen To Jaayen Kahaan
O Jaane Waale, Daaman Chhuda Ke,
Mushkil Hai Jeena, Tujhko Bhula Ke,
Is Se To Hai, Maut Aasaan,
Jaayen To Jaayen Kahan
Seene Mein Shole, Saanson Mein Aahen,
Is Zindagi Se, Kaise Nibaahen,
How Can I Cope With This Life?
Har Jazabaat Hai Veeraan,
Jaayen To Jaayen Kahaan

ye kis ne geet chhedaa!

ye kis ne geet chhedaa ye kis ne geet chhedaa
dil meraa naache thirak thirak kis ne geet chhedaa
ye kis ki zulf bikhri ye kis ki zulf bikhri
jag saaraa gayaa mahak mahak kis ki zulf bikhri

chori chori haule haule thandi thandi hawaa aaye
kaliyon ke mukh choome bagiyaa ko sulgaaye
daali daali jaaye lachak lachak kis ki zulf bikhri
ye kis ne geet chhedaa …

tum ne hi kiyaa tonaa tumne jaadoo pheraa
anjaani dagri pe chalaa dekho man meraa
matwaalaa gayaa bahak bahak, kis ne geet chhedaa
ye kis ki zulf bikhri …

ek baazi main ne jeeti ek baazi dil haaraa
mere saajan tere kaaran main ne chhodaa jag saaraa
sang tere chali runak jhunak kis ne geet chhedaa

ye kis ki zulf bikhri jag saaraa gayaa mahak mahak
kis ne geet chhedaa dil meraa naache thirak thirak
kis ne geet chhedaa ye kis ne geet chhedaa ye kis ne geet chhedaa

naa ye zameen thi!

naa ye zameen thi naa aasmaan thaa
naa chaand-taaron kaa hi nishaan thaa
magar ye sach hai ke un dinon bhi
teraa-meraa pyaar yoon hi jawaan thaa
naa ye zameen thi naa aasmaan thaa
naa chaand-taaron kaa hi nishaan thaa
magar ye sach hai ke un dinon bhi
teraa-meraa pyaar yoon hi jawaan thaa
naa ye zameen thi naa aasmaan thaa

chale kahaan se kahaan pe aaye
khumaar ban ke jahaan pe chhaaye
chale kahaan se kahaan pe aaye
khumaar ban ke jahaan pe chhaaye
nibhaayi rasm-e-wafaa kuchh aise
muhabbaton ke chaman khilaaye
na kaise aasaan hoti manzil
har ek armaan naujawaan thaa
naa ye zameen thi naa aasmaan thaa
naa chaand-taaron kaa hi nishaan thaa
magar ye sach hai ke un dinon bhi
teraa-meraa pyaar yoon hi jawaan thaa
naa ye zameen thi naa aasmaan thaa

hamin ne taaron ko roshni di
hamin ne phoolon ko taazgi di
hamin ne taaron ko roshni di
hamin ne phoolon ko taazgi di
jidhar se guzre jahaan bhi thahre
har ek zarre ko zindagi di
kuchh ismen dil ki tadap thi shaamil
Khudaa bhi kuchh hampe meharbaan thaa
naa ye zameen thi naa aasmaan thaa
naa chaand-taaron kaa hi nishaan thaa
magar ye sach hai ke un dinon bhi
teraa-meraa pyaar yoon hi jawaan thaa
naa ye zameen thi naa aasmaan thaa

nazar mein phoolon bhari hain raahen
khushi se rangeen hain nigaahen
nazar mein phoolon bhari hain raahen
khushi se rangeen hain nigaahen
suno to kuchh kah rahi hai hamse
bahaar phailaa ke apni baanhen
idhar se guzroge ek din tum
naseeb aisaa meraa kahaan thaa
naa ye zameen thi naa aasmaan thaa
naa chaand-taaron kaa hi nishaan thaa
magar ye sach hai ke un dinon bhi
teraa-meraa pyaar yoon hi jawaan thaa
naa ye zameen thi naa aasmaan thaa
aaa ho ho o o o
aaa ho ho o o
aaa

yahaan koi nahin tera !

yahaan koi nahin tera mere siva
kahati hai jhumati gaati hava
tum sab ko chhod kar aa jaao, aa jaao aa jaao

baadal bhi ban ke paani, ik din to barasata hai
loha bhi jal ke aag men ik din to pighalata hai
jis dil men ho muhabbat ik din to tarasata hai
yahaan koi nahin.........

teri mann ki ulajhanen sulajhaana chaahata hun
tujhe aaj se apani main banaana chaahata hun
mann ke sunahare mandir men bithaana chaahata hun
yahaan koi nahin ........

Jalte hain jiske liye!

Jalte hain jiske liye teri aakhon ke diye,
dhoond laya hoon wahi geet main tere liye,
Jalte hain jiske liye... (2)
Dard ban ke jo mere dil mein raha dhal na saka
Jadu ban ke teri aankhon mein ruka chal na saka ....(2)
Aaj laya hun wohi geet main tere liye
Jalte hain...
Dil main rakh lena ise haathon se ye chhute na kahin,
Geet nazuk hai mere sheeshe se bhi toote na kahin,...(2)
Gungunaunga yehi geet main tere liye,
Jalte hain ...
Jab talak na yeh tere ras ke bhare hontoon se mile,
Yunhi awara phirega yeh teri zulfon ke tale,...(2)
Gaye jaunga yehi geet main tere liye,
Jalte hain ...

milte hi aankhen dil huaa!

milte hi aankhen dil huaa deewaanaa kisikaa
milte hi aankhen dil huaa deewaanaa kisikaa
afsaanaa meraa ban gayaa, afsaanaa kisikaa
afsaanaa meraa ban gayaa, afsaanaa kisikaa

poochho naa muhabbat kaa asar, haay na poochho
haay naa poochho
poochho naa muhabbat kaa asar, haay na poochho
haay naa poochho
dam bhar mein koyi ho gayaa, parwaanaa kisikaa
dam bhar mein koyi ho gayaa, parwaanaa kisikaa
afsaanaa meraa ban gayaa, afsaanaa kisikaa
milte hi aankhen dil huaa deewaanaa kisikaa

hanste hi naa aa jaayen kahin, aankhon mein aansoo
aankhon mein aansoo
hanste hi naa aa jaayen kahin, aankhon mein aansoo
aankhon mein aansoo
bharte hi chhalak jaaye naa, paimaanaa kisikaa
bharte hi chhalak jaaye naa, paimaanaa kisikaa
afsaanaa meraa ban gayaa, afsaanaa kisika
milte hi aankhen dil huaa deewaanaa kisikaa

Mujhe ishq hai!

Mujhe ishq hai tujhi se, meri jaane zindgani
Tere paas mera dil hai, mere pyaar ki nishaani
Mujhe ishq hai tujhi se

Meri zindagi mei tu hai
Mere paas kya kami hai
Jise gham nahi khiza ka
Voh bahaar tune di hai
Mere haal par hui hai, teri khaas meharbani
Tere paas mera dil hai, mere pyaar ki nishaani
Mujhe ishq hai tujhi se

Tere husn ne dikhayi
Mujhe bekhudi ki raahen
Ye haseen lab nashile
Ye jhuki, jhuki nigaahein
Tere zulf se uthi hai ye ghataon ki jawaani
Tere paas mera dil hai, mere pyaar ki nishaani
Mujhe ishq hai tujhi se meri jaane zindgani
Tere paas mera dil hai, mere pyaar ki nishaani
Mujhe ishq hai tujhi se